Pain

Khud ka see.cha paudha hai
ek na ek roz to badeg.ha hi
dard to dard karega hi
na doge agar zub.aan isko
to khamosh hi sahi
apni kahani kahega hi
dard to dard karega hi
fir bhi na suni gar iski kahani
to aankhon se ye bahega hi
dard to dar karega hi
kyu chup karte ho
dil toda hai uska
wo to sikayat karega hi
dard to dard karega hi
wo hai jo chup rehta hai
uske laboo.n pe beshak sik.va na ho
dil to duhai dega hi
dard to dard karega hi
chala jao isko yaha cho.d ke bhi
chahe na dekho peeche mudke bhi
jane anjane kisi mod.h pe
rah me ye milega hi
dard to dard karega hi
phir kaisi is.se aankh micho.li
yu kab tak bhaga dau.di
gar mil bhi gaya to kya
ye to dard karega hi
dard to dard karega hi
:: amit ::