Yu hota to kya hota?
Na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
Duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota?
Huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
Na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota
Huee muddat ke ‘GHalib’ mar gaya par yaad aata hai
Wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota?
- Mirza Asadullah Baig Khan ‘Ghalib’
May 24th, 2007 at 7:00 pm
wah wah!!! …and this time I don’t need to ask you the meaning