Mai waqt pe ghar kyon nahi jata!
Benaam sa ye dard, thehar kyon nahi jata
Jo beet gaya hai, woh guzar kyon nahi jata
Sab kuch to hai, kya dhundti rehti hai nigaahein
Kya baat hai, mai waqt pe ghar kyon nahi jata
Woh ek hi chera to, nahi sare jahan mein
Jo door hai woh dil se utar kyon nahi jata
Main apni hi uljhi hui, raho ka tamasha
Jate hain jidhar sab, main udhar kyon nahi jata
Woh naam jo na jane kab se, na chehra na badan hai
Woh khawaab agar hai to bikhar kyo nahi jata”
- Nafees khan
November 23rd, 2007 at 1:57 pm
Wow…very thoughtful…loved it….
August 20th, 2009 at 10:14 am
Jo beet gaya hai, woh guzar kyon nahi jata…
I am speechless…how beautifully you have said person’s haplessness for being trapped in past …amazing