Kuchh yaadein

Kuchh yaadein hai betey huey kal ki
jo palkon ko bheegon hai jaati
woh baatein hai kuchh poorani
jo bhoolaye nahi bhulai jaati
thamein rakhna uska haath
rab se maangna uska saath
kabhi uske hothon ko chhu lena
to kabhi use bahon mein bhar lena
achaanak hi raastein alag ho gaye
hum ek dusre ke liye ajnabi ban gaye
bewafaai na kabhi ki humnein
fir bhi kyun hai yeh faaslein
woh saath nahi hai to kya hua
uski tasveer se hi mohabbat kar baithein hain
uski baatein nahi sun sakte to kya hua
khamoshi ko uski aawaaz banaa dete hain
lafzon mein kaise bayaan karein
yeh haal-e-dil kisse kya kahein?
bus itna samajhlo ki,Kuchh yaadein hai betey huey kal ki
jo palkon ko bheegon hai jaati.