Amit Verma, Graphic Designer based in Delhi, has done lot of design work for web and print media.
He has experience with Joomla, Drupal, WordPress and other CMS.

Haale dil !!

Haale dil kya sunayen yaar ko,
Kahin khoyaa saa rehta hai,
Neend nahi aati raaton ko,
Din mein soya sa rehta hai.

Har pal sochta hai kis ko,
Kis ka har pal nagma kehta hai,
Kabhi aansoon kabhi khushi,
Anjaaan dariyaa mein behta hai.

Dil chaahta hai kis ko,
Kis ki ummid mein rehta hai,
Tarsata hai didaar-e-yaar ko,
Judaai kaa gam sehta hai.

Tufaan laa diyaa zindagi mein,
Hum se yeh koi kehta hai,
Bayaan kar den gar haqiqat ko,
Haal to apna bhi yahi rehta hai.

Haale dil kya sunayen yaar ko,
Kahin khoya sa rehta hai,
Neend nahi aati raaton ko,
Din mein soya sa rehta hai.

Leave a Reply