Amit Verma, Graphic Designer based in Delhi, has done lot of design work for web and print media.
He has experience with Joomla, Drupal, WordPress and other CMS.

Ek Pukar

ek-pukar.jpg

Hum to betaab the vapas ane ko,
Bas intezaar yahi ki woh pukaaren.
Jaan to yunhi luta chuke hain unpe,
Kasr bas itni ki woh pukaaren.

Nazr milti hai jab bhi unse,
Dil chahta hai ki woh pukaaren.
Vaise to har roz milte hain hum logon mein,
Chah bas itni ki veeranein mein woh pukaaren.

Din zeher se, raat ghehra saahil hai,
Hum un mein doob jaen gar dil se woh pukaaren.
Unse mulaqat hi mazlis hai hamari,
Kayamat bhi hai kubool basharta woh pukaaren.

Khushiyaan unki zaagir, bas ashk bach gae hein,
Meri aakhri muskurahat ke naam woh pukaaren.
Zindagi aut maut hamari hai unke haansil,
Zannat-nashin ho jaen,bas ek baar woh pukaaren.

Kya kya bayaan karen jab har lamhaa unse haavi,
Ise farz hi samaj lein, ‘Nadaan’ ko pukaaren.
Jaante hain ki khaab ye haqiqat kabhi na hoga,
Fir bhi khwahish hai yahi ki bar bar woh pukaaren.

Mohabbat hai unse, ye amaanat hai unki,
Khata hamaari hogi jab kabhi na woh pukaaren.

Zindagi bhar nahi, bas ik baar hi sahi,
Kah den ki woh bhi chaahte hain, hamein pukaaren.

Jaam hain woh, unkaa nasha sa ho gaya hai,
Koi saaki ban ke aaye, unse kah de, woh pukaaren.

Beet gae zamaane, aaj fir yaad aayi hai,
Kash karishma ho jaae, samne aaen aur pukaaren.

Dua itni hi hai ki esa na ho kabhi,
Woh pukaaren bhi to meri kabr pe aake pukaaren.



Leave a Reply